Tuesday, July 31, 2007

In parellel with sound (tere naina)

sau baar to padhe hain tumne,
in jaaloon mein fanse lamhe,
uth-te hain tumhe paa kar,
girne ki saans daba lete hain,
sirf pehenke tumhari pehchaan..
tumhe na dekhne ki aankhon mein,
bandh karke so jaate hai..
khwabon mein tumhe paas rakh kar,
ek raat muskarate hain,
naina hain.. naina saare,
naina yeh so jaate hain...
aahaton mein karvatein baandh li hain,
kuch door jaane par jab mudengi yeh baahein,
dhar lengi sanse unhe khud mein,
har aane jaane ki aah,
tumse kehne ki jo doori par thi...